Monday, November 26, 2012

Har Shabb Zulfein Bikhri Dekhi


Ek Muddat Ke Baad Jo Raahoun Se Guzre
Koi Lamha Jaise Mehka Hua Qareeb Se Guzre

Sar-E- Shaam Hawa Unka Paigham Le Aayi
Kuch  Iss Tarah  Roz  Qiyaal  Se  Guzre

Mehak  Unhi  Ki  Thi  Aaj Har  Ghunche Me
Woh  Baharoun Ki Tarah Jo Chaman Se Guzre

Jisne Mehka Diya Woh Qiyaal Tha Unhi Ka
Yun Toh Kitne Haseen Rahoun Se Guzre

Khudhi Laboun Ko Humne See Dala
Jab Woh Nazrein Bachakar Humse Guzre

Har Shabb Zulfein Bikhri Dekhi Chand Par
Dur Rehkar Bhi Meri Nigahoun Se Guzre

No comments:

Post a Comment